Saturday, March 7, 2009

Sayeri

Pighalte waqt kee surat, mujhe rulati hai ..
Na jaane kyun, teri soo rat ubhar ke aati hai .


Hame to shahar kee, veeraniyan hi bhaane lagi ..
Hamare kisse, ye aksar hame sunati hai .

Haseen log to, sheeshe ke ghar banate hain..
Meri nakamiyan, kagaz pe ghar banati hai .

Apne haalat pe, jane kyun hasi aati hai ..
Jindgi , roz bahut der tak samjhati hai.

Ab kisi aur ki, khushiyon ke rahnuma hain ham.
Gam ki parchhaiyan, bhi hamko ye batati hai..

Har kisi daur main, gam ban ke janam leta hun .
Fark bas ye hai ki, meri shaql badal jaati hai ..

Wo kis ka afsaana, tujhko suna raha hai koi .
Jisko sunkar, tere maathe pe shikan aati hai..

Na jane kaun se sanche, main dhal gayi kismat.
Jindgi, dard kee jageer najar aati hai ...

Ishq ka naam, ab hothon ko chubhan deta hai .
Ye nadi , pyaas ke manjar mujhe dikhati hai ..

1 comment: